Category: Dua Shayari

Dua Shayari

Ae Khuda Aaj Ye Faisla Karde
Use Mera Ya Mujhe Uska Karde
Bahut Dukh Sahe He Maine
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna
Judai Ke Safar Ko Kum Karde
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse
Use Utna Kareeb Karde
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam
To Khatam Kar Ye Zindagi Aur Mujhe FANAA Karde

Dua Shayari

Khwab Sach Ho Tu Tabir Bhi Mil Jati Hai
Yad Bhi Aksar Ik Tasvir Mai Badal Jati Hai
Kuch Maango Agr Tu Maango Sachey Dil Se
Ek Dua Se Aksar Takdeer Badal Jati Hai

Dua Shayari

Shikwa-e-ashq nahi Jurat-e-guftar nahin
mary hathon main jabar ki talwar nahin
Ibn-e-Adam hun insan se Mohabat ki hai
Aag ka chand ka Pathar ka paristar nahin
ae khuda mujh ko meri Ibadat k badly Mohabat de de
Main teri kisi b jannat ka kharidar nahin
jis ne insan se mohabat hi na ki ho
wo dar haqiqat khuda ka b talabgaar nahin

Dua Shayari

Dor ho k bhi apke pass raha kerty hain
teri yadon k sahary jia kerty kain
tujh se koi shikayat na gila kerty hain
tu salamat rahy bas yehi dua kerty hain

Dua Shayari

” Dua Ki soorat Mein Uss Ki Khaatir ”
” Jo meray honton se lafz nikaly ”
” Jo mari Aankhon se ashk niklay ”
…” Unhi k badley Mein ae KHUDAYA ”
Jab bhi us ka naseeb likhna
” UROOJ likhna ”
” KAMAL likhna ”
” Kabhi na harf-e-ZAWAL likhna ”
” Khusian likhna ”
” or us ki umr-e-draaz likhna………

Dua Shayari

Manga hai tujhe rab se ke ab zid hai muje yeh kab se,
sab se agey, awal-o-akhir hai meri zaroorton mein sab se…

Dua Shayari

kash ye dunia haseen hoti
khud k chahne sy her dua kabool hoti
khny k liye tu sbi apny hn
pr kash koi aisa hota
jisay mere dard sy b takleef hoti

Dua Shayari

Dast-E-Taqdeer Se Har Shaks ne Hissa Paya Jaan
Mere Hissay Main Terey Sath Ki Hasrat Aayi ….!

Dua Shayari

Jub Itni Khushyaan Mil Jayen Ke Samajh Na Aye Kia Mangun ….
Phir Apni Duaon Mein Mujhe Tum Yaad Karlena ………!

Dua Shayari

Jin Siddato Se Koshish Kar Raha Hu
Ab Main Tumhe Bhulane Ke
Kabhi Bahut Dil Se Dua Manga Karta Tha
Tumhe Apna Banane Ki

Dua Shayari

Ya malik aapne aadalat me , meri hamesha jamant rakhna,
Mai rahu ya na rhu mere chahane walo ko hamesh salamat rakhna

Dua Shayari

Ujaar di hai ajab zalzalon ne yeh basti,
Makeen talash karoon ya makaan talash karoon..