Category: Aansoo Shayari

Aansun Ka Pani Girta Rha

Aansun Ka Pani Girta Rha

Har Aag Bujh Jati Hai Barsat Mein,
Magar Dil Ki Aag Na Bujh Saki,

Aansun Ka Pani Girta Rha,
Phir Bhi Dekho Yahan Jalti Rahi…..

Aaj Wohi Sanam Mujhy Bewafa Keh Gaya

 

Aaj Wohi Sanam Mujhy Bewafa Keh Gaya

Jaane Meri Aankhon Se Kitne Aansu Bah Gaye,
Insaano Ki Bheed Mein Bhi Dekho Tanha Rah Gaye,

Karte The Jo Kabhi Apni Wafa Ki Baatein,
Aaj Wohi Sanam Mujhy Bewafa Keh Gaya….

 

Aansoo Shayari

Mein takiye per sitaray bo raha hoon. .
Janam din hai, Akela ro raha hoon. .
Kisi ne jhank kar dekha na dil mein. .
K mein ander se kaisa ho raha hoon. .
Jo dil per daagh hain pichli ruto’n kay. .
Unhein ab aansuo’n se dho raha hoon. .
Sabhi parchaai’an hain saath lekin. .
Bhari mehfil mein tanha ho raha hoon. .
Mujhy in nisbato’n se kon samjha?
Mein rishtay mein kisi ka jo raha hoon. .
Mein chonk uthta hoon aksar baithay baithay. .
K jaisay jagtay mein so raha hoon. .
Kisay paanay ki khuwahish hai k ‘Sajid’
Mein rafta rafta khud ko kho raha hoon. . !