Category: Dhoka Shayari
Khamiyaan Kaun Si Mujhme Thi
Khamiyaan Kaun Si Mujhme Thi
Kyon Tune Pyar Main Dhoka Diya
Kyon Na Sachha Pyar Tha Mujhse Kiya
Khamiyaan Kaun Si Mujhme Thi
Kyon Meri Wafaaon Ka Aisa Sila Hai Diya
Humne To Tujhe Toot Kar Chaha Tha
Duniya Ko Bhi Tere Liye Tha Chhod Diya
Dil Se Khoob Khel Kiya Tune
Kyon Na Mujh Par Tune Ki Daya
Aaj Main Khood Se Naaraz Hoon
Duniya Ki Naa Maan Kar, Kyon Sirf Tera Bharosa Kiya
Loot Kar Meri Duniya Ko
Tune Mujhe Jaise Bin Maut Hi Maar Diya
aankh khulate hi tujhe dhundhane nikala hoga
aankh khulate hi tujhe dhundhane nikala hoga
apne khvabon mein tujhe jis ne bhi dekha hoga
aankh khulate hi tujhe dhundhane nikala hoga
zindagi sirf tere naam se mansub rahe
jane kitne hi dimagon ne ye socha hoga
dost hum us ko hi paigam-e-karam samajhenge
teri furqat ka jo jalta hua lamha hoga
daman-e-zist mein ab kuch bhi nahi hai baqi
maut aayi to yaqinan
use dhoka hoga
roshni jis se utar aayi lahu mein mere
ae masiha wo mera zakhm-e-tamanna hoga
hum hi na the rusava faqat
Tute huye dilon ke dua mere sath hai
Tute huye dilon ke dua mere sath hai
tute huye dilon ke dua mere sath hai
duniya teri taraf hai khuda mere sath hai
aavaz ghungharuon ke nahi hai to kya hua
sagar ke tutane ke sada mere sath hai
tanhai kis ko kahate hain mujhko pata nahi
kya jane kis hasin ke dua mere sath hai
paimana samane hai to kuch gham nahi “nizam”
ab dard-e-dil ke koi dawa mere sath hai
Tujhe Ishq Ho Khuda Kare
Tujhe Ishq Ho Khuda Kare
Dil Lagi Thi Usey Hum Se Mohabbat Kab Thi
Mehfil-e-Gair Se Un Ko Fursat Kab Thi
Hum Thay Mohabbat Main Lot Jane K Qabil
Us K Wadoon Main Wo Haqiqat Kab Thi…
Tujhe Ishq Ho Khuda Kare
Koi Tujh Ko Usse Juda Kare
Tere Lub Hansna Bhool Jaen
Or Teri Aankh Purnam Raha Kare
Usse Dekh Ke Tu Ruk Pare
Or Woh Nazar Jhuka Ke Chala Kare
Tujhe Hijr Ki Woh Jhari Lage
Tu Millan Ki Har Pal Dua Kare
Tere Khuwab Bikhrain Tooot Kar
Use Kirchi Kirchi Chuna Kare
Tu Nagar Nagar Phira Kare
Tu Galli Gallli […]
Ye Nahi Gam Ke Qasam Apni Bhulai Tum Ne
Gam Te Ye Hai Ke Raqeebon Se Nibhai Tum Ne
Koi Ranjish Thi Ager Tum Ko To Mujh Se Kehte
Baat Apas Ki Kiun Sab Ko Batai Tum Ne
Dhoka Shayari
kuch aur tanhae ki shamein mera muqadar baneen
faraz
muj pagal me b to ik saey k hasool ka tha iztaraab
…
Dhoka Shayari
Yon rah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthane ka shukria
Bara pur khatar tha yeh rasta tere laot jane ka shukria
Jo udaas hain tere hijr mein jinhe bojh lagti hai zindgi
Sar-e-bazam yon unhein dekh ke tere muskrane ka shukria
Teri yaad kis kis bhais mein mere sher-o-nagma main dhal gai
Teri yad ka muje yaad aane ka shukria,
Jo zamane bhar ka asool tha wo asool tu ne nibha dia
Yehi rasam tehri hai motabar muje bhool jane ka shukria
…
Dhoka Shayari
Mein ek kitab ka wo safa hu ‘usman
Jise barso phle ksi ne parh kr jala dala …
…
Dhoka Shayari
jinhe devta samja tha haiwaan se badtar nikle,
jinhe samja tha manzil wo raste ka patthar nikle,
unki har khwahish hamari beaaburiyat thi,
un par hamare dare beasar nikle,
unke har badlaav ko nayi ada smja ,
is bhulave me hum margat ki dagar nikle,
jinke lafzo ko sanjoya dil me aaj tak,
chamkte paimaane me wo ik zahar nikle,
yakeen tha jin par khuda se adhik,
wo to hamari maut ka sabab nikle,
unka har teer chlta tha karne hame halaal,
tab se is dil par anginat kahar nikle,
aaj bhi unke intzaar me…. bheege bheege se hai nayan,
wo na jane kis gair-sang kidhar nikle..
…
Dhoka Shayari
use ata he mere pyaar par ghussa
mujhe us k ghusse pe pyar ata he!!!!!!
Dhoka Shayari
Teri Nigaah Bhi Iss Daur Ki Zakaat Hui….
Jo Mustahiq Hai Ussi Tak Naheen Pohanch pati …..
…
Dhoka Shayari
Rootha Agar Tujh Say To Iss Andaaz Say Roothoon Ga.
Teray Shehar Ki Matti Bhi Meray Wajood Ko Trsay Gi.
…
Dhoka Shayari
Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar ke kissey..
Gulo gulzar ki batain, lab o rukhsaar ke kissey..
Yahan sab ke mukadar mein fakat zakhm e judai hai..
Sabhi jhotey fasaney hain wasal e yaar ke kissey.
…
Dhoka Shayari
Chara ger cheekh uthey hosh na aaya pehron,,,
Mery seeny mein tera zakhm jo gehra dekha,,,,
…
Dhoka Shayari
Kabhi to ki hogi suraj ne chand say mohabbat
Tabhi to chand mein daagh hay,
Mumkin hai ki chand ne ki hogi bewafai
Tabhi to suraj mein aag hay.
…
Dhoka Shayari
Jab Laga Tha Teer Tab Itna Dard Na Huwa,
Zakham Ka Ehsas Tab Hua Jab Kamaan Dekhi Apnon K Hath Mai.
…