dil hii to hai na sang-o-Khisht dard se bhar na aaye kyuu

dil hii to hai na sang-o-Khisht dard se bhar na aaye kyuu

urdu Shayari, urdu greeting Shayari, urdu mobile Shayari, romantic urdu Shayari, Latest urdu Shayari, new urdu Shayari, sweet urdu Shayari,urdu Shayari latest, urdu Shayari wallpaper 2013, urdu Shayari 2013 wallpaper, latest urdu Shayari wallpaper, urdu Shayari, wallpaper, urdu Shayari wallpaper hd, urdu Shayari wallpaper of Girls, urdu Shayari wallpaper of boys

dil hii to hai na sang-o-Khisht dard se bhar na aaye kyuu.N
roe.nge ham hazaar baar koii hame.n sataaye kyuu.N
[sang=stone, Khisht=brick]
dair nahii.n haram nahii.n dar nahii.n aastaa.N nahii.n
baiThe hai.n rahaguzar pe ham Gair hame.n uThaaye kyuu.N
[dair=temple, haram=mosque, dar=gate, aastaa.N=doorstep]
jab vo jamaal-e-dilafaroz, suurat-e-mahr-e-niimaroz
aap hii ho nazaaraasoz, parde me.n muu.Nh chhupaaye kyuu.N
[jamaal-e-dilafaroz=face whose beauty lights up the heart; mahr-e-niimaroz=midday sun]
[nazaaaraasoz=sight which sears/burns]
dashnaa-e-Gamzaa jaa.Nsitaa.N, naavak-e-naaz bepanaah
teraa hii aks-e-ruKh sahii, saamane tere aaye kyuu.N
[dashnaa=dagger; Gamzaa=amorous glance; jaa.Nsitaa.N=fatal/jaan lene vaalaa;]
[naavak=arrow; naavak-e-naaz=arrow of pride; aks=image ]
qaid-e-hayaat-o-band-e-Gam asl me.n dono.n ek hai.n
maut se pahale aadamii Gam se najaat paaye kyuu.N
[qaid-e-hayaat=prison of life; band-e-Gam=bindings/chains of sorrow; najaat=freedom/liberation]
husn aur us pe husn-e-zan rah gaii bulahavas kii sharm
apane pe etimaad hai Gair ko aazamaaye kyuu.N
[husn-e-zan=agreement; bulahavas=excessive desires; etimaad=trust]
vaa.N vo Guroor-e-izz-o-naaz yaa.N ye hijaab-e-paas vaz_a
raah me.n ham mile.n kahaa.N, bazm me.n vo bulaaye.n kyuu.N
[Guroor-e-izz-o-naaz=pride of modesty; hijaab-e-paas vaz_a=shy respect]
haa.N vo nahii.n Khudaaparast, jaao vo bevafaa sahii
jisako ho diin-o-dil aziiz, usakii galii me.n jaaye kyuu.N
[Khudaaparast=follower of Khuda=Muslim; diin-o-dil =religion/faith and heart; aziiz=dear]
“Ghalib”-e-Khastaa ke baGair kaun se kaam band hai.n
roiie zaar-zaar kyaa, kiijie haaye-haaye kyuu.N
[Khastaa=wretched/durdashaa-grast; zaar-zaar=bitterly/phuuT-phuuT kar]