Barish Shayari
Jab Jab Aata Hai Ye Barsaat Ka Mausam,
Teri Yaad Hoti Hai Sath Humdum,
Is Mausam Mein Nahi Karienge Yaad Tujhe Ye Socha Hai Humne…
Par Phir Socha Ki Baarish Ko Kaise Rok Paayeinge Hum….
Jab Jab Aata Hai Ye Barsaat Ka Mausam,
Teri Yaad Hoti Hai Sath Humdum,
Is Mausam Mein Nahi Karienge Yaad Tujhe Ye Socha Hai Humne…
Par Phir Socha Ki Baarish Ko Kaise Rok Paayeinge Hum….
Main Udas Rasta Hon Sham Ka ,Mujhay Ahaton Ki Talash Hai
Ye Sitaray Sab Hain Bujhay Bujhay ,Mujhay Jugnuon Ki Talash Hai
Wo Jo Ek Darya Tha Aag Ka Wo To Raasto Se Guzar Gaya
Mujhe Kab Se Rait Ke Shahar Mein Nai Barishoo Ki Talash Hai
Kal Halki Halki Barish Thi
Kal Sard Hawa Ka Raqs Bhi Tha
Kal Phool Bhi Nikhray Nikhray Thay
Kal Un Pe Aap Ka Aks Bhi Tha
Kal Badal Kalay Gehray Thay
Kal Chand Pay Lakhon Pahray Thay
Kuch Tukray Aap Ki Yaad Kay
Bari Dair Say Dil Main Thehray Thay
Kal Yaadain Uljhi Uljhi Thin
Aur Kal Tak Yeh Na Suljhi Thin
Kal Yaad Bohut Tum Aye Thay
KAL YAAD BOHUT TUM AYE THAY
Main Nay Ussay Poocha Tha,
Kya Dhoop Main Barish Hoti Hai??
Wo Hanstay Hanstay Ronay Lagi
Aur Dhoop Main Barish Honay Lagi….
Mai Nee Uss Sey Aik Bar Poochaa
Kaa Dhoop Mai Barish Hootii Hai
Too Woo Hasnee Lagii
Aur Hastee Hastee Ronee Lagiii
Aur Dhoop Mai Barish Hoona Lagi
(bu zalim dunyada dogulma dialogue poetry)
Barish aur main,
dono ek jaisay hain, rote hain,
tadapte hain,
sisakte hain, machalte hain,
bond bond dard ka!
khamoshi se apni ragoon main utar lete hain,
aur phr muskura kar chupke se..
chup ki chaddar odh lete hain..
haan sahyad,
BARISH aur MAIN dono ek hi jaisay hain!
Barish Ki Ye Pehli Boondein
Kaisa Jadu Karti Hain
Dil Se Khoon Ke Katre Le Kar
Meri Ankhein Bharti Hain
Barish Ke Is Dibache Se
Kitne Manzar Khulte Hain
Khwab Sa Alum, Lehja Madham,
Aankhein Nam Nam, Bheega Mausam,
Pehli Barish, Pehli Khwahish,
Pehla Jazba, Pehla Waada,
Pehli Khushbu, Pehla Aansoo,
Chup Chup Rehna
Soch Mein Parna
Jo Bhi Kehna Tashna Kehna
Toota Fuqra, Aadha Jumlaa,
Jalti Sansein, Thandi Aahian,
Bojhal Palkain, Saahir Aankhein,
Dhani Jora, Sabz Dupatta,
Lambe Gaisoo, Qatil Khushboo,
Ik Pehar Mein
Ik Jag Beeta
Maine Tera Bazoo Thama
Wasal Ki Is Pehli Barish Mein
Kya Kuchh Khoya, Kya Kuchh Paya
Barish Ki Ye Pehli Boondein
Kaisa Jadu Karti Hain.
Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha
Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha
Kal badal kalay gehray thay
Kal chand pay lakhon pahray thay
Kuch tukray aap ki yaad kay
Bari dair say dil main thehray thay
Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak yeh na suljhi thin
Kal yaad bohut tum aye thay
Kal yaad bohut tum aye thay
Kabhi Shokh Hein..
Kabhi Gum Si Hein..
Ye Baarishen Bhi..
Tum Si Hein.
Theharta ek bhi manzar nai veran ankho mai
hamary shehar sy badal bhi be barsy nikalta hy
Kal halki halki barish thi
Kal sard hawa ka raqs bhi tha
Kal phool bhi nikhray nikhray thay
Kal un pe aap ka aks bhi tha
Kal badal kalay gehray thay
Kal chand pay lakhon pahray thay
Kuch tukray aap ki yaad kay
Bari dair say dil main thehray thay
Kal yaadain uljhi uljhi thin
Aur kal tak yeh na suljhi thin
Kal yaad bohut tum aye thay
Kal yaad bohut tum aye thay …
…
Kabhi Shokh Hein..
Kabhi Gum Si Hein..
Ye Baarishen Bhi..
Tum Si Hein.
…
Theharta ek bhi manzar nai veran ankho mai
hamary shehar sy badal bhi be barsy nikalta hy
…
Roz aatay Hain Baadal ?Abr-E-Rehmat lay Kar,
??Meray Sheher Ke Aamaal Unhain Brasnay Nahin Detay…
…
Barish hui to ghar ke dareeche se lage ham,
Chup-chaap sogwaar tumhen sochte rahe…..!!!
…
Ye barishain bhi tum si hain,
Jo baras gayi tou bahaar hain,
Jo thehar gayi tou qaraar hain,
Kabhi aa gayi yunhi be’sabab,
Kabhi chaa gayi yunhi roz-o-shab,
Kabhi shor hai, kabhi chup si hain,
Ye barishain bhi tum si hain,
Raat ko ik dabi hui si raakh ko,
Kabhi yun hua ke bujha dia,
Kabhi khud se khud ko jala dia,
Kahin boond boond mein gum si hain,
Ye barishain bhi tum si hain..
…
Rim jhim rim jhim baras rahi hai,
Yaad tumhaari qatraa qatraa…
…