Category: Dhoka Shayari

Dhoka Shayari

Tujhe dokhon sy na bacha pay agarcha teri mohabaton mai
na jany kitny maqam aye ke hum ny khud sy munafqat ki

Dhoka Shayari

Mery mehboob ne wada kia hai panchve’n din ka,
kisi se sun kiya hoga ye duniya chaar din ki hai..!
(panchve’n:fifth)

Dhoka Shayari

Umeedon ke saharey jee kar khud ko dhoka deta hoon,
Teri yaad mein jal kar rooh ko aziyat deta hoon,
Parwaah nahin karta koi kya samajhta hai mujhe,
Koi maange nafrat bhi, Tou mohabbat lazawaal deta hon,
Har baar ishaarey deti hai woh judai ke,
Har baar mein muskuraa ke taal deta hoon,
Aa chal thaam le ab tu mera hath,
Tere naam ko mein apna naam deta hoon,
Torra nahin aik muddat se ab kisi ka dil bhi,
Koi maange sath to dil mein jagha deta hoon,
Daur-e-wasl mein yeh naubat aagayi hai Husnain,
Apne hathon ko tere hathon se mila deta hoon..
Mirza Hussnain Azam

Dhoka Shayari

Apne yaaron ki tabiyat se shanasaa hoon Asad,
Ab taluq pe mujhe waar diya jaye ga..
(shanasaa;aware of)

Dhoka Shayari

Pehle taraasha kaanch se us ne mera wajood,
Phir sheher bhar ke hath mein pathar thamaa diye..
(thamaa;hand over)

Dhoka Shayari

Kabhi Dekha Hai Andhe Ko Kisi Ka Hath Pakr Kar Chalte,
Main Ne Mohabaat Main Yoon Tujh Pe Bharosa Kiya Tha..!!