:::::::: Qaza Namaz ::::::
Huzoor SallallahuAlaihi Wasallam Ne
Farmaya: Jo Namaz Se So Jaaye Ya Bhool Jaye to
Jab Yaad Aaye Padh Le Ke Wohi Uska
Waqt Hai.
[ SAHIH MUSLIM J:1 S:241 ] Fuqha E ikram Farmate hai:
Sote Me Ya Bhoole Se Namaz Qaza Ho
Gai To Uski Qazaa Padhni Farz Hai,
Albatta Qaza Ka Gunah Is Par Nahi
magar Bedar Hone Par Aur Yaad Aane
Par Agar Waqte Makrooh Na Ho To Usi Waqt Padh Le Takhir Makrooh Hai.
[ Aalamgiri Jild:1 Safah:124 ] Jiski aaj Fajar ki Namaz Qaza hui ho wo
jaldi se Qaza namaz ada kar len, zyada
namazen qaza ho wo Qaza e umri
parha kare aur hamesha Namaz ko
waqt ki pabandi ke saath padha kare
take Aakhirat sanvar jaye. In shaa ALLAH Jazak ALLAHU khaira…….,