hamnawa kehtay hain ab sar ko meray chikna ghada

hamnawa kehtay hain ab sar ko meray chikna ghada

sar say kam ho gaya balon ka wabaal acha hai
runuma honay laga rukh pay jalaal acha hai

jo hamain bakhsha hai qudrat nay kamaal acha hai
raas ayengay mujhay topi roomaal acha hai

ek muddat say rahay hain ye meray sar pay sawar
sar charhi cheez pay aaya hai zawaal acha hai

ab kinaron pay nazer aatay hain sarhad ki tarah
or kuch rooz rahengay ye bahaal acha hai

iis say pehlay k ye aasaar-e-qadeema hojayen
iis ujarti hui kheti ko sambhaal acha hai

hamnawa kehtay hain ab sar ko meray chikna ghada
baat achi nahin andaaz-e-misaal acha hai

hai Ghanimat k salamat hai hamari darhhi
iis Khabar say meray hajjam ka haal acha hai

ye burhhapay ka aqeeqa hai faqat farq ye hai
iis main kartay nahin bakray ko halaal acha hai

aaina dekhoon to hoti hai tabiyaat bhari
rukhsat-e-baal pay thora sa malaal acha hai

jab koi poochhta hai baal k jhrhnay ka ilaaj
sar khuja kar main ye kehta hoon sawaal acha hai