ham kare.n tark-e-vafaa achchhaa chalo yuu.n hii sahii

ham kare.n tark-e-vafaa achchhaa chalo yuu.n hii sahii

wAlLPaPEr

tanhai Shayari, tanhai greeting Shayari, tanhai mobile Shayari, romantic tanhai Shayari, Latest tanhai Shayari, new tanhai Shayari, sweet tanhai Shayari,tanhai Shayari latest, tanhai Shayari wallpaper 2013, tanhai Shayari 2013 wallpaper, latest tanhai Shayari wallpaper, tanhai Shayari, wallpaper, tanhai Shayari wallpaper hd, tanhai Shayari wallpaper of Girls, tanhai Shayari wallpaper of boys

PoeTry

jab kabhii un ke tavajjo me.n kamii paa_ii ga_ii
az sar-e-nava-e-daastaan-e-shauq doharaa_ii ga_ii

bik chuke jab tere lab phir tujh ko kyaa shikavaa agar
zi.ndagaanii baadaa-o-saaGar se bahalaa_ii ga_ii

ai Gam-e-duniyaa tujhe kyaa ilm tere vaaste
kin bahaano.n se tabiyat raah par laa_ii ga_ii

ham kare.n tark-e-vafaa achchhaa chalo yuu.n hii sahii
aur agar tark-e-vafaa se bhii na rusvaa_ii ga_ii

kaise kaise chashm-o-aariz gard-e-Gam se bujh gaye
kaise kaise paikaro.n kii shaan-e-zebaa_ii ga_ii

dil kii dha.Dakan me.n tavazzun aa chalaa hai Khair ho
merii nazare.n bujh ga_ii.n yaa terii raanaa_ii ga_ii

un kaa Gam un kaa tasavvur un ke shikave ab kahaa.N
ab to ye baate.n bhii ai dil ho ga_ii.n aa_ii ga_ii