Barish ki taiz bondo ne jab

Barish ki taiz bondo ne jab

Barish ki taiz bondo ne jab dastak di darwaze par
Mehsos hoa tum aaye ho andaz tumhare jaisa tha
Ek Hawa k halke jhonke ki jab aahat hoi khirki par
Mehsos hoa tum aaye ho andaz tumharye jaisa tha
Me tanha chala jab barish me
Ek jhonke ne mera sath diya
Me samjha tum ho sath mere ehsas tumhare jaisa tha
Phir ruk hi gayi woh barish b
aur Rahi na baqi aahat b
Me samjha mujhe tum choor gaye andaz tumhare jaisa tha.