Zamaaney bhar mein nafrat ko
Chalo ik kaam kartey hain,
Zamaaney bhar mein nafrat ko,
Bohat badnaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,
Chalo chorro yeh taaj o takht,
Chalo ban jayen deewaney,
Aur iss deewangi ko hum,
Wafaa ke naam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,
Chalo paatey hain phir fursat,
Tassawur yaar ka kar ke,
Bithaa lete hain pehluu mein,
Seher se shaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,
Chalo yeh ehed kartey hain,
Kissi ka dil na torrain ge,
Aur ik doojey ki chahat mein,
Anaa bedaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,
Sabhi tootey khilonon ko,
Chalo phir jorr lete hain,
Neyi manzil ban kar khud,
Usey gumnaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,
Chalo yaadon ki barish mein,
Jagha dete hain maazi ko,
Haseen beetey huye pal,
Taveel ayaam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain,
Chalo kehtey hain akbar se,
Bhaley deewaar mein chun dey,
Mohabbat ke liye mitt kar,
Sadaa araam kartey hain,
Mohabbat aam kartey hain..